Monday, August 13, 2012

Beete Lamhe.....

kuch log zinghi me asie aate hai..
jaise behata pani jab patharo pe apne nishan banata hai....
pathar ki vo lakire har waqt unn lehro ki yaaad dilati hai...
vo thama hua waqt ko guzar chuka tha....
waise hi kuch log zinghi me apni jagah aise bana lete hai ...
jo unn lakiro kei tarah kabhi nahi mitti...
kabhi lagta bhi hai yu ki zindghi me ab kya rah gaya hai....
phir kabhi koi aisa bhi milta hai..
jo kabhi unn lakiro ko mitana nahi chahta ..
bas unn lakiro pe yakin dilata hai..
aur unke sath jeena sikhta hai....
phir jo zindghi jo yaado me beeta karti thi..
vo unn yaado ke sath jeene lagti hai....
phir jo lakire kisi ki kami ka ehsas dilati thi..
wahi lakire kisi ki khushi ka ehsaas me khush hona sikhati hai.......

kisi sache dost ka sath zindghi me na sirf sukun par therav bhi lata hai...
kuch log zinghi ko uss pani ki tarah dekhte hai....jo har waqt behta hai....
aur kuch log unn patharo ki tarah jin par pani apne nishan banata chalta hai......

No comments:

Post a Comment