After a long time.I'd wrote something.
Pyar hai itna ki khud ko kabhi kabhi khud pe yakin nahi ho pata...
ki main kissi ko itna kaise chah sakta hoon...
ki usse yaad karte karte m khud ko kaise bhul jata hoon..
uski baato me main kaise yun kho jata hoon...
uske har gham me kaise main aa jata hoon....
na jaane kaise main khud ko yakin dilata hoon ...
ki pata nahi chalta ki kab main tum ho jata hoon......
Pal pal jab soch me jab main dub jata hoon..
ki mein kaise tujhe bulata hoon....
aawaz phr kyu vo mujhe sunai deti hai ...
aur phr khud ko meine batlata hoon....
ki pata nahi chalta kab m tum ho jata hoon...
Jab jab tu mujhe bulati hai ...
khuda ki aawaz mein sun leta hoon...
jab bhi aata hai tera hath mere hatho me ...
ibadat mein kar leta hoon.....
lagta hai ussne mujhe bulaya hai...
phr tere liye usse bhi rooth mein jata hoon...
ki pata nahi chalta ka main tum ho jata hoon......
Vo kahti hai jab pyar tumhi se m karti hoon....
na jaane kitne aasmano par mein udd jata hoon...
har bar jab vo kahti hai "tum bhi kaho na ek bar"....
m aankhe jhukaye bas yahi kah pata hoon...
ki pata nahi chalta kab main tum ho jata hoon......
Aankhe teri jab jab askh bahati hai ....
kahun kuch bhi par dil se mien roo jata hoon.....
tab lagta hai maano sawan ye kabhi na rukne paayega....
aansu ki ek boon ke piche har chhez bemani hai ...
phr teri ek muskan se ..
dil me bahar me le aata hoon....
ki pata hi nahi chalta kab main tum ho jata hoon......
Masum si muskan jab tere chehre pe aati hai ....
mano har gham main bhul jata hoon....
hatho se jab bhi vo mere chehre ko chuti hai......
jeevan ka ehsaas m kar pata hoon....
pas jabbhi vo mere aati hai...
khud ki saanso so mehsus main kar pata hoon ....
na jane ye sath kabse mere sath hai... ..
ki pata nahi chalta kab main tum ho jata hoon
Jab piche mud ke mein dekhta hoon.....
khudki parchai me usko dekh main pata hoon....
phr ye sochne main lagta hoon kya vo bhi mere sath chalti hai....
phr aachanak ek aawaz kadmo ko mere yu rok leti hai ....
"Pata nahi chala kab mein tum ho jati hoon" ...
Aur mein bas kahta chala chalta hoon ki......
"Wahkyi pata hi nahi chalta kab mein tum ho jata hoon " !!!!
