Sunday, January 22, 2012

Kabhi yun bhi toh ho......

Kabhi yun bhi toh ho,
Itefaq se kuch bhi hone ke liye,
kai sadiyon ki sajhish shamil ho,
kabhi yun bhi toh ho.......

ek hadsa haqiqat banne ko,
Zindghi me shamil ho,
Kabhi yun bhi toh ho....

Chandani me dubi ek shaam ko,
Dariya pe sahil mann ki tarah shaant ho
khawabo me yun tera sath ho,
Kabhi yun bhi toh ho....


Raat ka har pehar yun thehar ke,
humare sath ke sath ho,
ye thandi hawa me madhoshi ghuli ho jaise,
koi na humre sath ho,
kabhi yun bhi toh ho....

raat bhi na aage yu badhna chahe,
jasie waqt bhi fiza me kaid ho,
khamoshiyan baaate karne lage jab,
itefaq se tum aao,
kbhi yun bhi toh ho.....
Itefaq se kuch bhi hone ke liye,
kai sadiyon ki sajhish shamil ho,
kabhi yun bhi toh ho.......

Monday, January 2, 2012

Dil Chahta hai !!

Dil chahta hai...aaj phir se Dil kuch chahta hai...
jis pal me zinda hoke bhi zinghi ko dundte the,
ussi pal ko zinda karne ko aaj Dil chahta hai......
kabhi  suna tha kissi ko kahte maine waqt ke baare me,
ki beeta waqt acha ya bura yaad karne pe dukh deta hai,
par phir bhi na jane kyu aaj uss waqt pe khush hone ko dil chahta hai..
shayad unn palo me khush nahi bhi tha m kabhi kabhi,
unn beete huye palo me khush hone ko aaj dil chahta hai....
kuch pal aise bhi the jinme dill dhadka bhi karte the,
sabhi yaaro ke sath phir hum hal sujhaya bhi karte the,
pal aaj bhi hai , pal wahi kal bhi the,
dil aaj wahi bhi wasie hi dhadakta hai,
pehle har waqt me ek pal tha,
 aaj ek pal me vo pura waqt beetane ko dil chahta hai...
pehle unn palo me zindghi shamil thi
aaj zindghi me unno palo ko shamil karne ko dil chahta hai,
dost saare aaj bhi wahi hai, jaise vo kal the,
bas unke sath ka sath hone ko aaj dil chaha hai....
Waqt ki kaid me zindghi hai magar,
chand ghadiyan yahin hai jo aazad hai,
Jeevan ne waqt ke pinjare me jin palo ko kaid kar liya hai....
Unhe aazaad karne ko aaj Dil Chahta hai.....
Bas mera dil aaj yahi chahta hai !!!!!